✨ Sirf aapke liye... dil ki gehraion se ✨
Meri pyari si jaan, meri shehzadi ko meri taraf se Happiest Birthday Wishes 🎉🎉🥳🎂🎁
Ye din mere liye bohat khaas hai — itna khaas ke mein chahta hun iski khushi hum dono ek saath mein manaen. Mein is din ko apni jaan ke saath, apni jaan ke paas reh ke manana chahta hun 🫂🫂🫂🫂
InshaAllah agli dafa hum saath mein manaen ge 😘😘😘 🫂🫂🫂🫂
Aap meri zindagi ka wo hissa hain jo mein kabhi kisi ke saath zara bhi share nahi karna chahta. Hamesha hamesha aapko apne paas, apne saath khush rakhna chahta hun.
Meri zindagi ka sab se khoobsurat hissa hain aap — jo mujhe hamesha apne saath chahiye 🫂🫂🫂🫂
soo sooo sooo much
meri jaan, meri shehzadi 😘😘😘🫂🫂🫂🫂
Allah Pak meri jaan ko hamesha hamesha aise hi hansta muskurata rakhe... Aapki har khwahish, har dua jo kabhi apne chahi — sab poori hon. Ameen, Suma Ameen. 🤲
Mein bas apni jaan ko khush dekhna chahta hun. Aapki khushi se meri zindagi mein khushi hai 🫂🫂🫂🫂
Mein apni jaan se itna pyaar karta hun ke mera bas chale — mein aapko khud se ek second ke liye bhi door na hone dun 🫂🫂🫂🫂
Mein ne kabhi socha bhi nahi tha ke kabhi koi mujhe bhi itna chahega... Aapke itne pyaar ne mujhe ek alag zindagi di hai 🫂🫂🫂🫂
Mein jaanta hun mein kabhi kabhi galtiyan karta hun, gussa dilata hun jaan ko, shayad kuch chizon mein acha nahi hun... lekin jesa kaho ge mein wesa ho jaon ga — aapke liye.
Aapko pura haq hai mujhe rokne ka, kehne ka. Meri zindagi pe itna haq mera nahi hoga jitna mein ne aapko diya hai. Meri zindagi hain aap 🫂🫂🫂🫂🫂🫂🫂🫂
Is duniya mein sab se zyada pyaar karta hun mein aapse. Meri pehli mohabbat hain aap — jise poora hota dekhne ki khwahish hai meri.
Aapke saath apna naam sunne ki khwahish hai meri... aur InshaAllah bohat jald poori bhi hogi 😘😘😘🫂🫂🫂🫂
Love you soo much, mera pyara bacha 💕
Meri pyari jaan ko — hamesha hamesha hamesha khush rahen aap, aur har khwahish aapki poori ho 🌟
Mein hamesha jaan ke saath hun, aur jaan ki har khwahish InshaAllah poori karunga 😘😘😘🫂🫂🫂🫂
mera shona 😘😘😘😘😘😘🫂🫂🫂🫂🫂🫂🫂🫂🫂